Password ko hindi me kya kehte hain?

Hello Dosto, Aaj hum janenge ki Password ko hindi me kya kehte hain. Aap sabhi log aajkal apni life me kahi na kahi password jarur use karte hain.

Doston, Pasword ek tarah ka secret code hota hai jo ki kuch numbers ya alphabet ya fir numbers, alphabet aur symbols teeno ka combination hota hai.

Aaj kal ki life me koi bhi person ya to email id use karta hoga ya fir atm card ya net banking. Agar aap email aur banking nhi karte hain to kam se kam aap mobile to use karte hi honge.

Aaj kal to log mobile me bhi password laga kar rakhte jain. To doston bhale hi aap password ka hindi me meaning nhi jante honge lekin aap kahi na kahi istemal jarur karte honge.

Password ko hindi me kya kehte hain

Net Banking/ATM me Password ka Use:

Aap agar Net banking karte hain ya aapka koi bank me account hoga to aapko ek atm card bhi mila hoga. To uss atm ko use karne ke liye aapko pehle 4 numbers ka password ya pin number daalna padta hai. Iske baad hi aap uss atm se paisa nikal pate hain.

Agar aapko ATM se apne account ka balance check karna hota hai to bhi aapko 4 numbers ka secret pin ya password daalna hota hai. Bina ye password daale aap apne ATM ka koi bhi istemal nhi kar sakte.

Yani ki agar aapka ATM kisi aise vyakti ko mil jaye jo aapka secret password nhi janta hai to wo vyakti aapke ATM se kabhi bhi paisa nhi nikal payega aur naa hi balance dekh payega.

Email Id me Password ka Use:

Dosto Net Banking aur ATM ki tarah aapki email id ka bhi ek pasword hota hai. Yeh password aap apni pasand ke hisab se banate hain jis waqt aapne apni email id create kiya hota hai.

Bina iss password ke aap ya koi bhi insan aapki email id ko open nhi kar payega. Haan aap agar chahen to kabhi bhi apna wo secret password change kar sakte hain.

Waise bhi agar aap apni email id ka password jyada time tak change nhi karte hain to jis Mail Serverya Company pe aapne Id banayi hai wo aapko khud hi notification bhejenge. Iss notification me likha hota hai ki aapne kaafi samay se apna password change nhi kiya hai isliye isko change karen.

Smart Phone me Password ka Use:

Ab baari aati hai mobile phone ki. Doston, aaj kal to shayad hi koi aisa person hoga jiske hath me mobile phone naa ho. Aap ke paas bhi jarur hoga.

Aaj kal jyadatar logo ke paas Smart Phones hote hain. Lagbhag sabhi logo ke Smart Phone me kisi na kisi tarah ka screen lock jarur laga hota hai.

Dosto, Log apne Smart Mobile phone me screen lock kisi shaukh ki wajah se nahi lagate. Smart Phones me screen lock lagaane ke peeche ek bahut hi mahtvpoorn kaaran hota hai.

Smart phone ki screen touch sensible hoti hai. Agar smart phone ki screen par password ya pin nahi lagaya to Pocket me rakhe rakhe apne aap hi kisi ko cal lag sakti hai.

Ek aur bada hi importatnt reason hai. Aaj kal log apne mobile phone me bahut important personal data rakhte hain. Jaise Photos, Documents ya fir Net banking ya mobile banking bhi use karte hain.

Agar phone me password nhi lagaya to koi bhi shaks aapka phone lekar uska misuse kar sakta hai. Isliye mobile me password lagana bahut jaruri hai.

Dekhiye Password ko hindi me kya kehte hain:

Dosto ab finally hum aap ko ye batane ja rhe hain ki Password ko hindi me kya kehte hain. Password ko hindi me ek nhi balki kai alag alag shabdo se jana jata hai.

Password ko shuddh hindi me ‘Kootshabd’ (कूटशब्द) bolte hain. Iske alawa Password ko hindi me ‘Pravesh Shabd’ bhi kehte hain.

Iske alawa alag alag bhashao me Password ko aur bhi naamo se jaana jata hai. Aaj aapne yeh jaana ki Password ko hindi me kya kehte hain.

Dosto, Aapko hamara yeh article kaisa laga hume comment box me likh kar jarur bataye. Aapka feedback hamare liye bahut mahatv rakhta hai.

Thanking You!

More intresting Articles

सफेद मूसली के फायदे और नुकसान

मोटापा कम करने के लिए घरेलू उपाय

Poha banane ki recipe

Biryani Banane ki recipe

Tomorrow ka matlab Hindi me kya hota hai

Leave a Comment