Hello dosto, Aapka hamare blog par ek baar fir se swagat hai. Aaj hum aapko batayenge ki duniya ki sabse khoobsurat dikhne wali machhliyon me se ek machhli Goldfish ka scientific naam kya hai.
Goldfish sunahre rang ki ek bahut hi sunder si fish hoti hai. Aapne Goldfish ko kabhi na kabhi jarur dekha hoga. Jo log ghar me aquarium rakhte hain wo log Goldfidh ko jarur rakhte hain.
Goldfish aquarium me normally 5 se 8 saal tak jinda reh sakti hai. Goldfish ki average life lagbhag 7 se 8 years hoti hai. Golden color hone ki wajah se Goldfish aquarium ki shobha badha deti hai.
Goldfish ka Scientific naam kya hai:
Ab hum jaante hain ki Goldfish ka scientific naam kya hai. Friends, Goldfish ka scientific naam hai ‘Carassius Auratus’. Hum isko hindi me कैरासियस औराटस padhte hain. Ye jaankari students ke liye bahut important hai.
Students ko hum bata de ki Goldfish ko ek aur naam se bhi jaana jata hai. Ji haan friends, Goldfish ko Curcian Carp bhi bola jata hai. Goldfish ka ye naam bahut hi kam logo ko pata hai. Waise bolchal ki language me Goldfish ko Sunahari Machhli bhi kehte hain.
Goldfish ka janm kaha se hua:
Agar Goldfish ki utpatti ki baat kare to sabse pehle yeh China me utpann hui thi. Kaha jata hai ki Red color ki khaal wala Crucian Carp Goldfish ka poorvaj tha. Goldfish ki utpatti ke baad iska aage ka jeevan aur iske jeevan ko surakshit karne ke liye China ke scientists ne bahut bada yogdaan diya.
China ke vaigyaniko ne Goldfish ko sabse pehli baar year 1502 me Japan me prastut kiya tha. Iske baad Japan ne isko 17th century ke end me United Kingdom me pesh kiya. Iske baad Goldfish ko 18th century ke end tak USA me pesh kiya gya tha.
Aaj Goldfish duniya ke har desh me fail chuki hai. Doosri machhliyon ki tulna me Goldfish ko khoobsurat hone ke kaaran log bahut pasand karte hain.
Goldfish ka size aur shape kaisa hota hai:
Goldfish ek lagbhag 8 se 10 inch ke size ki fish hoti hai. Iske ke pankh failne par lagbhag 23cm. tak khul jaate hain. Goldfish aquariuam me paali jaane wali machhliyon me se sabse popular machhli hai.
Sunahri Machhli ya Goldfish ki skin me golden color ke alawa baigni, laal, safed aur neela rang bhi hota hai. Jiski wajah se Goldfish adhik chamakdar aur sudar dikhayi deti hai.
Goldfish kitne types ki hoti hai:
Ab hum ye jaanenge ki Goldfish kitne prakaar ki hoti hain. Friends, Goldfish ki kai prakaar hote hain. Hum Goldfish ke kuch khaas prajatiyon ke baare me aapko batate hain. Goldfish vishesh roop se 5 types ki hoti hain.
1. Common Goldfish (Sadharan Goldfish):
Common Goldfish ke punkh chhote hote hain aur iska sharir patla hota hai. Sadharan ya Common Goldfish ki poonch bhi chhoti hoti hai. Ye Goldfish ki sabse jyada popular prajati hai.
2. Shubunkin Goldfish:
Shubunkin Goldfish ka size aur shape bhi lagbhag Common Goldfish jaisa hi hota hai. Haan magar iska rang Calico hota hai. Shubunkin Goldfish sabse jyada London me paayi jaati hai.
3. Comet Goldfish (Dhoomketu Goldfish):
Comet Goldfish ka size lamba hota hai. Iski khaas baat ye hai ki iske punkh do parts me divided hote hain. Comet Goldfish ka shape bhi patla hi hota hai. Anya Goldfish ki apeksha yeh kuch adhik sakriya hoti hai.
4. American Shubunkin ya Japanese Shubunkin:
American Shubunkin ya Japanese Shubunkin bilkul Comet Goldfish ki tarah hi thode lambe size ki hoti hain. Lekin Inka color Calico hota hai. Doosri Goldfish ki tulna me yeh jyada tez hoti hain.
5. Bristol Shubunkin:
Bristol Goldfish Caloco color ki Goldfish hoti hai. Inki pehchan ye hai ki inka poonchh ka punkh adhik chauda (wide) hota hai. Yahi inki vesheshta hai. Inko tairne ke liye kam se kam 150 se 200 liter paani ki jarurat hoti hai.
Dosto, Ye thi Goldfish ke baare me kuch mahatvpoorna jankari. Aajkal ke students ke liye ye bahut hi jaruri information hai. Kyoki kabhi kabhi is tarah ke saamanya prashn competitions me poochhe jaate hain.
Dosto, Aapko aaj ki ye jankari kaisi lagi humko comment box me likh kar jarur bataye. Aapka feedback hamare liye bahut mahatv rakhta hai.
Thanking You!